Monday, February 1, 2010

Ek safar ki shuruat!!

Sab kuch sametkar ek safar ki shuruat huyi
Lagta tha dar, zindagi meri hogi, kitni nayi

Sab kuch badal jata hai pal bhar main
Palak bas jhapkane der hain

Kadam badhe aankhon mein sapne hazar liye
Bojhal naino se intezaar zindagi ka hum kiye

Raste bante gaye, raahon mein kante bhi aaye
Kuch khushbu lekar, hum chal diye

Kuch bunde chalki badalon se
Khusbu bheegi si aaye baharon mein

Jharoke se haath badhte hi
Chooti hun boondon ki ladi

Waqt tham si jaati hain aisi hi kuch palon mein
Aati hain yaad un hasin lamhon ke

Lavz honton ko sil dete hain
Badhi hui haath vapas le lete hain

Palkein jhuk jaati hain
Dil sambhal jata hain

Sunti hun mein badalon ki garaj
Waqt lag sakta hai, par uge ga wo suraj

Madham si hava behti hui
Khwabon ko fir bunti

Aanchal ko lehrake hawa le gayi
Maine apne aap ko bahon mein le li

Ek sundar hasin sapne ki kaamna se
Jeevan naye sire se sajane hain

No comments: